Koi diwana kehta hai......koi pagal samjta hai..
Magar dharti ki baicheni..ko bas baadal samjta hai...
Main tuzse dur kaisa hu tu mujhase dur kaisi hai.....
Yeh tera dil samjta hai ya mera dil samjta hai...
Mahobat ek ehsaason ki paawan si kahani hai.....
Kabhi kabira diwana tha kabhi meera diwani hai..
Yaha sab log kehte hai meri aankho me aansu hai..
Jo tu samjhe to moti hai jo na samjhe to paani hai..
Its better to be a good poet than a bad engineer ....
Samundar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta...
Yeh aansu pyar ka moti, main ise kho nahi sakta...
Meri chahat ko tu apna bana lena magar sunle......
Meri chahat ko tu dulhan bana lena magar sunle....
Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta.....
..